parastish ke laeq sanam chahte hain
parastish ke laa.eq sanam chāhte haiñ
vo kāfir hasīñ jis ko ham chāhte haiñ
hameñ mat satāo jafāoñ se apnī
hasīno ye tum se karam chāhte haiñ
kahīñ lutf-e-paiham kahīñ be-ruḳhī sī
mukarrar ham aisā sitam chāhte haiñ
bharī bazm meñ ham tavajjoh-talab haiñ
mohabbat kā apnī bharam chāhte haiñ
hameñ chāhiye chashm-e-mast un kī 'aḳhtar'
ye kis ne kahā jām-e-jam chāhte haiñ
parastish ke laeq sanam chahte hain
wo kafir hasin jis ko hum chahte hain
hamein mat satao jafaon se apni
hasino ye tum se karam chahte hain
kahin lutf-e-paiham kahin be-ruKHi si
mukarrar hum aisa sitam chahte hain
bhari bazm mein hum tawajjoh-talab hain
mohabbat ka apni bharam chahte hain
hamein chahiye chashm-e-mast un ki 'aKHtar'
ye kis ne kaha jam-e-jam chahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.