parbat Tile band makanon jaise the
parbat Tiile band makānoñ jaise the
aur jo patthar the insānoñ jaise the
din meñ saarī bastī mele jaisī thī
raat ke manzar qabristānoñ jaise the
baḌe baḌe mahloñ meñ rahne vaale log
apne ghar meñ ḳhud mehmānoñ jaise the
vaadī kā singār pahāḌī laḌkī sā
jharne to almast javānoñ jaise the
kaise kaise dard chhupā.e phirte the
dil bhī kyā maḳhsūs Thikānoñ jaise the
parbat Tile band makanon jaise the
aur jo patthar the insanon jaise the
din mein sari basti mele jaisi thi
raat ke manzar qabristanon jaise the
baDe baDe mahlon mein rahne wale log
apne ghar mein KHud mehmanon jaise the
wadi ka singar pahaDi laDki sa
jharne to almast jawanon jaise the
kaise kaise dard chhupae phirte the
dil bhi kya maKHsus Thikanon jaise the
- Book : Gazal,Dushyant Ke Bad-part-2
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.