parda-e-gham mein dikhaya jalwa-e-kaamil mujhe
parda-e-gham mein dikhaya jalwa-e-kaamil mujhe
Raj Kumari Suraj Kala Sarwar
MORE BYRaj Kumari Suraj Kala Sarwar
parda-e-ġham meñ dikhāyā jalva-e-kāmil mujhe
le uḌī yārab kahāñ merī fazā-e-dil mujhe
merī manzil kyoñ na ho mushkil se bhī mushkil mujhe
har qadam ik raah hai har raah ik manzil mujhe
har-nafas meñ ārzū-e-dil milī haa.il mujhe
har qadam par pesh aa.ī ik na.ī manzil mujhe
ab ye kyā hai tū ne shān-e-sarfaroshī dekh lī
ḳhalq kyoñ kahne lagī bismil tujhe qātil mujhe
maut bhī mahkūm niklī us nigāh-e-nāz kī
ek marnā sahl thā vo bhī huā mushkil mujhe
dekh leñ vo bhī ki dil vāloñ se parda tā-kujā
do ghaḌī ko be-ḳhudī tū kar bhī de ġhāfil mujhe
tere majbūr-e-vafā ko mashġhala mil hī gayā
dil ko maiñ samjhā rahā huuñ aur merā dil mujhe
maiñ bhaTaktā hī rahā har anjuman har bazm meñ
aur milī ḳhalvat meñ ghar baiThe tirī mahfil mujhe
ab to 'sarvar' 'ishq ne āzād īmāñ kar diyā
laakh bahkāyā kare farq-e-haq-o-bātil mujhe
parda-e-gham mein dikhaya jalwa-e-kaamil mujhe
le uDi yarab kahan meri faza-e-dil mujhe
meri manzil kyon na ho mushkil se bhi mushkil mujhe
har qadam ek rah hai har rah ek manzil mujhe
har-nafas mein aarzu-e-dil mili hail mujhe
har qadam par pesh aai ek nai manzil mujhe
ab ye kya hai tu ne shan-e-sarfaroshi dekh li
KHalq kyon kahne lagi bismil tujhe qatil mujhe
maut bhi mahkum nikli us nigah-e-naz ki
ek marna sahl tha wo bhi hua mushkil mujhe
dekh len wo bhi ki dil walon se parda ta-kuja
do ghaDi ko be-KHudi tu kar bhi de ghafil mujhe
tere majbur-e-wafa ko mashghala mil hi gaya
dil ko main samjha raha hun aur mera dil mujhe
main bhaTakta hi raha har anjuman har bazm mein
aur mili KHalwat mein ghar baiThe teri mahfil mujhe
ab to 'sarwar' 'ishq ne aazad iman kar diya
lakh bahkaya kare farq-e-haq-o-baatil mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.