parda-e-husn-e-zat mein anjuman-e-sifat mein
parda-e-husn-e-zāt meñ anjuman-e-sifāt meñ
mere sivā hai aur kaun sīna-e-kā.enāt meñ
farsh kī vus'ateñ bhī gum 'arsh kī rif'ateñ bhī jazb
mere taḳhayyulāt meñ mere tasavvurāt meñ
naġhma-e-be-sadā huuñ maiñ nāz-e-girah-kushā huuñ maiñ
sham.a-e-rah-e-hudā huuñ maiñ zulmat-e-shash-jihāt meñ
merī hī fitrat-e-qadīm sarhad-e-lā-makāñ se duur
merā hī naqsh-e-nā-tamām qaid-e-ta.a.īnāt meñ
mere vajūd-e-ḳhās se silsila-e-fanā-baqā
mujh se hī raunaq-e-tamām bazm-e-tajalliyāt meñ
merī hī fikr-e-maḳhfī-o-mashq-e-nazar ke faiz se
jazb-o-kashish kī quvvateñ hastī-e-be-sabāt meñ
'ārzū' apne raaz ko samjhā huuñ maiñ bas is qadar
mujh meñ hijāb-e-zāt hai maiñ huuñ hijāb-e-zāt meñ
parda-e-husn-e-zat mein anjuman-e-sifat mein
mere siwa hai aur kaun sina-e-kaenat mein
farsh ki wus'aten bhi gum 'arsh ki rif'aten bhi jazb
mere taKHayyulat mein mere tasawwuraat mein
naghma-e-be-sada hun main naz-e-girah-kusha hun main
shama-e-rah-e-huda hun main zulmat-e-shash-jihat mein
meri hi fitrat-e-qadim sarhad-e-la-makan se dur
mera hi naqsh-e-na-tamam qaid-e-tainat mein
mere wajud-e-KHas se silsila-e-fana-baqa
mujh se hi raunaq-e-tamam bazm-e-tajalliyat mein
meri hi fikr-e-maKHfi-o-mashq-e-nazar ke faiz se
jazb-o-kashish ki quwwaten hasti-e-be-sabaat mein
'arzu' apne raaz ko samjha hun main bas is qadar
mujh mein hijab-e-zat hai main hun hijab-e-zat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.