parda-e-saz mein bhi soz ka hamil hona
parda-e-sāz meñ bhī soz kā hāmil honā
sham' se siikh sharīk-e-ġham-e-mahfil honā
bazm-e-hastī pe hai mushkil mirā maa.il honā
mujh ko aatā nahīñ sar-gashta-e-bātil honā
nāḳhudā tū mujhe ālūda-e-tūfāñ na samajh
mauj-e-dariyā ko sikhātā huuñ maiñ sāhil honā
sāzgār aaj mujhe raah bhī hai rahbar bhī
merī qismat meñ hai āsūda-e-manzil honā
rishta-e-hosh hai vābasta tujhī se ai dost
kabhī mumkin nahīñ tujh se mirā ġhāfil honā
dil se hushiyār ki hai dil hī tirā 'ain hayāt
maut se bhī hai sivā be-ḳhabar-e-dil honā
sa'ī ke baa'd na kar kāvish-e-fikr-e-anjām
lā.anat-e-sa.ī hai zahmat-kash-e-hāsil honā
bārish-e-abr se bijlī kī lagī bujh na sakī
ġhair-mumkin hai ilāj-e-tapish-e-dil na honā
har qadam par rah-e-hastī meñ na.ī Thokar hai
ai 'ziyā' sahl nahīñ fā.ez-e-manzil honā
parda-e-saz mein bhi soz ka hamil hona
sham' se sikh sharik-e-gham-e-mahfil hona
bazm-e-hasti pe hai mushkil mera mail hona
mujh ko aata nahin sar-gashta-e-baatil hona
naKHuda tu mujhe aaluda-e-tufan na samajh
mauj-e-dariya ko sikhata hun main sahil hona
sazgar aaj mujhe rah bhi hai rahbar bhi
meri qismat mein hai aasuda-e-manzil hona
rishta-e-hosh hai wabasta tujhi se ai dost
kabhi mumkin nahin tujh se mera ghafil hona
dil se hushiyar ki hai dil hi tera 'ain hayat
maut se bhi hai siwa be-KHabar-e-dil hona
sa'i ke ba'd na kar kawish-e-fikr-e-anjam
laanat-e-sai hai zahmat-kash-e-hasil hona
barish-e-abr se bijli ki lagi bujh na saki
ghair-mumkin hai ilaj-e-tapish-e-dil na hona
har qadam par rah-e-hasti mein nai Thokar hai
ai 'ziya' sahl nahin faez-e-manzil hona
- Subh-e-Mashriq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.