parda-e-zulmat-e-shab mein jo sahar dekhte hain
parda-e-zulmat-e-shab mein jo sahar dekhte hain
Rahbar Tabani Dariyabadi
MORE BYRahbar Tabani Dariyabadi
parda-e-zulmat-e-shab meñ jo sahar dekhte haiñ
dīda-var haiñ vo pas-e-hadd-e-nazar dekhte haiñ
tere aane kī ḳhabar garm huī hai jab se
ham shab-o-roz tirī rāhguzar dekhte haiñ
dil bhī dil-sāz kī mānind anā-parvar hai
aa.ine par asar-e-ā.ina-gar dekhte haiñ
lag ga.e mujh meñ bhalā kaun se surḳhāb ke par
log kyoñ mujh ko ba-andāz-e-digar dekhte haiñ
vo to lauT aa.e sitāroñ kī jabīneñ chhū kar
aur ham log abhī bāzū-o-par dekhte haiñ
jaane kyā DhūñDne lagtī haiñ hamārī āñkheñ
jab bhī ham ahd-e-guzishta ke khañDar dekhte haiñ
na qabīla na tashaḳhḳhus na liyāqat na sanad
sāhib-e-fikr-o-nazar fikr-o-nazar dekhte haiñ
fan har ik jubba-o-dastār se bālā-tar hai
qadr-dāñ barsar-e-ijlās hunar dekhte haiñ
ye koī ḳhvāb hai yā apnī nigāhoñ kā fareb
kabhī rahbar ko kabhī aap kā ghar dekhte haiñ
parda-e-zulmat-e-shab mein jo sahar dekhte hain
dida-war hain wo pas-e-hadd-e-nazar dekhte hain
tere aane ki KHabar garm hui hai jab se
hum shab-o-roz teri rahguzar dekhte hain
dil bhi dil-saz ki manind ana-parwar hai
aaine par asar-e-aina-gar dekhte hain
lag gae mujh mein bhala kaun se surKHab ke par
log kyon mujh ko ba-andaz-e-digar dekhte hain
wo to lauT aae sitaron ki jabinen chhu kar
aur hum log abhi bazu-o-par dekhte hain
jaane kya DhunDne lagti hain hamari aankhen
jab bhi hum ahd-e-guzishta ke khanDar dekhte hain
na qabila na tashaKHKHus na liyaqat na sanad
sahib-e-fikr-o-nazar fikr-o-nazar dekhte hain
fan har ek jubba-o-dastar se baala-tar hai
qadr-dan barsar-e-ijlas hunar dekhte hain
ye koi KHwab hai ya apni nigahon ka fareb
kabhi rahbar ko kabhi aap ka ghar dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.