parda haTa ke jab wo hasin muskuraega
parda haTā ke jab vo hasīñ muskurā.egā
bijlī hamāre hosh-o-ḳhirad par girā.egā
kyā thī ḳhabar ki tark-e-ta.alluq ke baad bhī
ham ko vo shoḳh parda-nashīñ yaad aa.egā
ummīd-o-ārzū kī tabāhī to dekh lī
ab aur kyā hameñ ye muqaddar dikhā.egā
ai qalb-e-zār sabr-o-tahammul se kaam le
kab tak kisī kī yaad meñ aañsū bahā.egā
merī zabāñ se sun na sake vo agar to kyā
rūdād merī un ko zamāna sunā.egā
jis raaz ko chhupā na sake qais-o-kohkan
ai qalb-e-ġham-nasīb tū kaise chhupā.egā
'nayyar' ġhamoñ kī tez havāoñ ke sāmne
kab tak ḳhayāl-o-ḳhvāb kī sham.a jalā.egā
parda haTa ke jab wo hasin muskuraega
bijli hamare hosh-o-KHirad par giraega
kya thi KHabar ki tark-e-talluq ke baad bhi
hum ko wo shoKH parda-nashin yaad aaega
ummid-o-arzu ki tabahi to dekh li
ab aur kya hamein ye muqaddar dikhaega
ai qalb-e-zar sabr-o-tahammul se kaam le
kab tak kisi ki yaad mein aansu bahaega
meri zaban se sun na sake wo agar to kya
rudad meri un ko zamana sunaega
jis raaz ko chhupa na sake qais-o-kohkan
ai qalb-e-gham-nasib tu kaise chhupaega
'nayyar' ghamon ki tez hawaon ke samne
kab tak KHayal-o-KHwab ki shama jalaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.