parda kis amr ka hai ab is bad-nasib se
parda kis amr kā hai ab is bad-nasīb se
kahiye to baat raat kī kah duuñ raqīb se
dekhe jo dil ke daaġh to bole raqīb se
milte haiñ aise chāñd ke TukḌe nasīb se
chohleñ haiñ mujh ġharīb se chheḌeñ raqīb se
paḌtā hai kaam dekhiye kis ḳhush-nasīb se
is martaba junūñ meñ yahī mashġhala rahā
de de ke phuul daaġh liye andalīb se
tum ho kalīm dekhne vāloñ meñ duur ke
luuTe haiñ ham ne yaar ke jalve qarīb se
achchhe haiñ ik jahān se us ke marīz-e-ishq
un ko davā se kaam na matlab tabīb se
kam-baḳht kī zabān se niklī hai koī baat
kaliyāñ haiñ muñh phulā.e hue andalīb se
vaa.iz tirī bahisht kā ham jānte haiñ haal
dilchaspiyāñ baḌhā na bayān-e-ajīb se
jo bad-mizāj de na tasallī marīz ko
achchhā hai ishtidād-e-maraz us tabīb se
kāñToñ ke badle phuul chune kis ne ai junūñ
sun aa.e haiñ chaman meñ vo kuchh andalīb se
kāfir tire sivā jo kisī kī ho aarzū
ham duur hoñ ḳhudā se ḳhudā ke habīb se
is zo.af meñ ye haal hai miltī nahīñ use
chaltī hai chaal nabz hamārī tabīb se
allāh re ḳhulūs ki manzil abhī hai duur
ġhurbat kī shaam aa ke milī mujh ġharīb se
detī hai ye zarūr jo ḳhud baiThtī hai vo
jhuktī hai shāḳh-e-gul bhī zarā andalīb se
poshīda dil meñ hai kisī parda-nashīñ kā ishq
dard-e-nihāñ kā haal kahūñ kyā tabīb se
tujh meñ paḌī hai jaan hamārī paḌī bhī rah
ai aarzū na jā dil-e-hasrat-nasīb se
laa.ī kuchh un ke vāste kuchh apne vāste
gulbun se phuul daaġh liye andalīb se
sar bhī subū-e-sar bhī bachā aaj baal baal
zāhid ne baḌh ke kaam liyā thā jarīb se
din dopahar na aaj ho andher to sahī
guzrīñ zarā vo hashr meñ mere qarīb se
bal gesuoñ se baḌh ke jabīñ par paḌe hue
koī ye jaane aa.e haiñ laḌ kar raqīb se
duniyā kī koī baat nahīñ jānte 'riyāz'
ik shaḳhs haiñ 'riyāz' bahut hī ġharīb se
parda kis amr ka hai ab is bad-nasib se
kahiye to baat raat ki kah dun raqib se
dekhe jo dil ke dagh to bole raqib se
milte hain aise chand ke TukDe nasib se
chohlen hain mujh gharib se chheDen raqib se
paDta hai kaam dekhiye kis KHush-nasib se
is martaba junun mein yahi mashghala raha
de de ke phul dagh liye andalib se
tum ho kalim dekhne walon mein dur ke
luTe hain hum ne yar ke jalwe qarib se
achchhe hain ek jahan se us ke mariz-e-ishq
un ko dawa se kaam na matlab tabib se
kam-baKHt ki zaban se nikli hai koi baat
kaliyan hain munh phulae hue andalib se
waiz teri bahisht ka hum jaante hain haal
dilchaspiyan baDha na bayan-e-ajib se
jo bad-mizaj de na tasalli mariz ko
achchha hai ishtidad-e-maraz us tabib se
kanTon ke badle phul chune kis ne ai junun
sun aae hain chaman mein wo kuchh andalib se
kafir tere siwa jo kisi ki ho aarzu
hum dur hon KHuda se KHuda ke habib se
is zoaf mein ye haal hai milti nahin use
chalti hai chaal nabz hamari tabib se
allah re KHulus ki manzil abhi hai dur
ghurbat ki sham aa ke mili mujh gharib se
deti hai ye zarur jo KHud baiThti hai wo
jhukti hai shaKH-e-gul bhi zara andalib se
poshida dil mein hai kisi parda-nashin ka ishq
dard-e-nihan ka haal kahun kya tabib se
tujh mein paDi hai jaan hamari paDi bhi rah
ai aarzu na ja dil-e-hasrat-nasib se
lai kuchh un ke waste kuchh apne waste
gulbun se phul dagh liye andalib se
sar bhi subu-e-sar bhi bacha aaj baal baal
zahid ne baDh ke kaam liya tha jarib se
din dopahar na aaj ho andher to sahi
guzrin zara wo hashr mein mere qarib se
bal gesuon se baDh ke jabin par paDe hue
koi ye jaane aae hain laD kar raqib se
duniya ki koi baat nahin jaante 'riyaz'
ek shaKHs hain 'riyaz' bahut hi gharib se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.