parda ruKH-e-fitrat se haTa kar nahin dekha
parda ruḳh-e-fitrat se haTā kar nahīñ dekhā
manzar pe nazar thī pas-e-manzar nahīñ dekhā
ansār ke ḳhanjar pe muhājir kā lahū hai
tārīḳh ne aisā kabhī manzar nahīñ dekhā
patthar kī siyāsat se jo mahfūz rahā ho
aisā kisī shīshe kā muqaddar nahīñ dekhā
thī dastaras-e-fikr meñ vo sā.at-e-ḳhush-rañg
ḳhushbū kā badan thā use chhū kar nahīñ dekhā
vo shahr ke hañgāmoñ meñ ḳhāmosh khaḌī hai
shāyad shab-e-hijrāñ ne mirā ghar nahīñ dekhā
tarshe to sanam pighle to shīshe kī nazākat
ai kam-nazro tum ne vo patthar nahīñ dekhā
jhukne nahīñ detī hai anā tishna-labī ko
dariyā kī taraf maiñ ne palaT kar nahīñ dekhā
hai us ko bahut quvvat-e-bāzū pe bharosā
dariyā ke shanāvar ne samundar nahīñ dekhā
hai ġham hī se labrez to phir kaisī masarrat
kyā tū ne mirā zarf-e-muqaddar nahīñ dekhā
parda ruKH-e-fitrat se haTa kar nahin dekha
manzar pe nazar thi pas-e-manzar nahin dekha
ansar ke KHanjar pe muhajir ka lahu hai
tariKH ne aisa kabhi manzar nahin dekha
patthar ki siyasat se jo mahfuz raha ho
aisa kisi shishe ka muqaddar nahin dekha
thi dastaras-e-fikr mein wo saat-e-KHush-rang
KHushbu ka badan tha use chhu kar nahin dekha
wo shahr ke hangamon mein KHamosh khaDi hai
shayad shab-e-hijran ne mera ghar nahin dekha
tarshe to sanam pighle to shishe ki nazakat
ai kam-nazro tum ne wo patthar nahin dekha
jhukne nahin deti hai ana tishna-labi ko
dariya ki taraf main ne palaT kar nahin dekha
hai us ko bahut quwwat-e-bazu pe bharosa
dariya ke shanawar ne samundar nahin dekha
hai gham hi se labrez to phir kaisi masarrat
kya tu ne mera zarf-e-muqaddar nahin dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.