parda uTha kar ruKH ko ayan us shoKH ne jis hangam kiya
parda uTha kar ruKH ko ayan us shoKH ne jis hangam kiya
Nazeer Akbarabadi
MORE BYNazeer Akbarabadi
parda uThā kar ruḳh ko ayaañ us shoḳh ne jis hañgām kiyā
ham to rahe mashġhūl udhar yaañ ishq ne dil kā kaam kiyā
aa ga.e jab sayyād ke bas meñ soch kiye phir hāsil kyā
ab to usī kī Thahrī marzī jin ne asīr-e-dām kiyā
chashm ne chhīnā palkoñ ne chedā zulf ne bāñdhā dil ko aah
abrū ne aisī teġh jaḌī jo qissa hī sab itmām kiyā
saḳht ḳhajil haiñ aur sharminda rah rah kar pachtāte haiñ
ḳhvāb meñ us se raat laḌe ham kyā hī ḳhayāl-e-ḳhām kiyā
chhoḌ diyā jab ham ne sanam ke kūche meñ āne-jāne ko
phir to udhar is shoḳh ne ham se shikva bharā paiġhām kiyā
aur idhar se chāhat bhī yuuñ hañs kar bolī vaah jī vaah
uThiye chaliye yaar se miliye ab to bahut ārām kiyā
yaar kī mai-gūñ chashm ne apnī ek nigah se ham ko 'nazīr'
mast kiyā aubāsh banāyā rind kiyā badnām kiyā
parda uTha kar ruKH ko ayan us shoKH ne jis hangam kiya
hum to rahe mashghul udhar yan ishq ne dil ka kaam kiya
aa gae jab sayyaad ke bas mein soch kiye phir hasil kya
ab to usi ki Thahri marzi jin ne asir-e-dam kiya
chashm ne chhina palkon ne cheda zulf ne bandha dil ko aah
abru ne aisi tegh jaDi jo qissa hi sab itmam kiya
saKHt KHajil hain aur sharminda rah rah kar pachtate hain
KHwab mein us se raat laDe hum kya hi KHayal-e-KHam kiya
chhoD diya jab hum ne sanam ke kuche mein aane-jaane ko
phir to udhar is shoKH ne hum se shikwa bhara paigham kiya
aur idhar se chahat bhi yun hans kar boli wah ji wah
uThiye chaliye yar se miliye ab to bahut aaram kiya
yar ki mai-gun chashm ne apni ek nigah se hum ko 'nazir'
mast kiya aubash banaya rind kiya badnam kiya
- Deewan-e-Nazeer Akbarabadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.