parda uTha ke chashm-e-taghaful-nigar se aap
parda uThā ke chashm-e-taġhāful-nigar se aap
dil kā jamāl dekhiye dil kī nazar se aap
ġhāfil haiñ husn-o-ishq ḳhud apne asar se aap
kuchh be-ḳhabar se ham bhī haiñ kuchh be-ḳhabar se aap
nazreñ churā rahe haiñ jo ahl-e-nazar se aap
ā.īne ko chhupāte haiñ ā.īna-gar se aap
sahmī huī duā.eñ haiñ naale Dare hue
māyūs yuuñ koī na ho apne asar se aap
garmā rahī hai qalb ko ik barq-e-be-ḳhudī
jalve hameñ dikhāte haiñ āḳhir kidhar se aap
har har qadam pe sajdoñ ke milte haiñ kuchh nishāñ
shāyad ki aaj guzre haiñ is rahguzar se aap
har zarra-e-nazar hai gulistāñ banā huā
aa.ī bahār guzre haiñ yā rahguzar se aap
ḳhuddāriyoñ kā paas bhī ai shān-e-munfa.il
mar.ūb hoñ na chashm-e-mohabbat-asar se aap
dushvār haiñ rasā.iyāñ dāmān-e-dost tak
qatrāt-e-ashk khulte nahīñ chashm-e-tar se aap
dīvār-e-lā-makāñ ho ki parde hijāb ke
chhupte nahīñ haiñ chashm-e-haqīqat-nigar se aap
jalve bhī ḳhud nigāh ke parde meñ ai 'munīr'
dekhā unheñ to chhup ga.e apnī nazar se aap
parda uTha ke chashm-e-taghaful-nigar se aap
dil ka jamal dekhiye dil ki nazar se aap
ghafil hain husn-o-ishq KHud apne asar se aap
kuchh be-KHabar se hum bhi hain kuchh be-KHabar se aap
nazren chura rahe hain jo ahl-e-nazar se aap
aaine ko chhupate hain aaina-gar se aap
sahmi hui duaen hain nale Dare hue
mayus yun koi na ho apne asar se aap
garma rahi hai qalb ko ek barq-e-be-KHudi
jalwe hamein dikhate hain aaKHir kidhar se aap
har har qadam pe sajdon ke milte hain kuchh nishan
shayad ki aaj guzre hain is rahguzar se aap
har zarra-e-nazar hai gulistan bana hua
aai bahaar guzre hain ya rahguzar se aap
KHuddariyon ka pas bhi ai shan-e-munfail
marub hon na chashm-e-mohabbat-asar se aap
dushwar hain rasaiyan daman-e-dost tak
qatraat-e-ashk khulte nahin chashm-e-tar se aap
diwar-e-la-makan ho ki parde hijab ke
chhupte nahin hain chashm-e-haqiqat-nigar se aap
jalwe bhi KHud nigah ke parde mein ai 'munir'
dekha unhen to chhup gae apni nazar se aap
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.