parda-war tha gham-e-pinhan mera
parda-var thā ġham-e-pinhāñ merā
ho gayā chaak garebāñ merā
dil se niklā pe na niklā dil se
tiir terā hai to paikāñ merā
aur khāne ko dharā hī yaañ kyā
merā ġham khā.egā mehmāñ merā
raah niklī to hai vaañ jaane kī
shauq hai silsila-jumbāñ merā
ye jo ab un ke hai darvāze par
thā kisī ahd meñ darbāñ merā
naam 'yūsuf' hai mirā par 'nāzim'
hai mirā misr hī kan.āñ merā
parda-war tha gham-e-pinhan mera
ho gaya chaak gareban mera
dil se nikla pe na nikla dil se
tir tera hai to paikan mera
aur khane ko dhara hi yan kya
mera gham khaega mehman mera
rah nikli to hai wan jaane ki
shauq hai silsila-jumban mera
ye jo ab un ke hai darwaze par
tha kisi ahd mein darban mera
nam 'yusuf' hai mera par 'nazim'
hai mera misr hi kanan mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.