parde mein har aawaz ke shamil to wahi hai
parde meñ har āvāz ke shāmil to vahī hai
maiñ laakh badal jā.ūñ magar dil to vahī hai
kuchh farq nahīñ dair-o-haram meñ dil-e-nādāñ
mahfil ho koī raunaq-e-mahfil to vahī hai
har rang har āvāz har ik shakl-e-hasīñ meñ
hai koī agar pyaar ke qābil to vahī hai
mahsūs jo hotā hai dikhā.ī nahīñ detā
dil aur nazar meñ had-e-fāsil to vahī hai
zarroñ meñ dhaḌakte hue dil dekhe haiñ jis ne
insān kī tauqīr ke qābil to vahī hai
sad-shukr ki har haal meñ jiite haiñ yahāñ log
hāsil na sahī kāvish-e-hāsil to vahī hai
'jagdīsh' tire lutf se mahrūm nahīñ hai
lekin dil-e-betāb kī mushkil to vahī hai
parde mein har aawaz ke shamil to wahi hai
main lakh badal jaun magar dil to wahi hai
kuchh farq nahin dair-o-haram mein dil-e-nadan
mahfil ho koi raunaq-e-mahfil to wahi hai
har rang har aawaz har ek shakl-e-hasin mein
hai koi agar pyar ke qabil to wahi hai
mahsus jo hota hai dikhai nahin deta
dil aur nazar mein had-e-fasil to wahi hai
zarron mein dhaDakte hue dil dekhe hain jis ne
insan ki tauqir ke qabil to wahi hai
sad-shukr ki har haal mein jite hain yahan log
hasil na sahi kawish-e-hasil to wahi hai
'jagdish' tere lutf se mahrum nahin hai
lekin dil-e-betab ki mushkil to wahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.