parde mein KHamushi ke suKHan bolne lage
parde meñ ḳhāmushī ke suḳhan bolne lage
kaaTī ga.ī zabāñ to nayan bolne lage
qātil to mutma.in thā Thikāne lagā ke laash
kāfūr chīḳh uTThe kafan bolne lage
ahl-e-chaman ne kho dī basīrat to yuuñ huā
gulshan ke saare zāġh-o-zaġhan bolne lage
yuuñ bhī huā hai laakh mukhoToñ ke bāvajūd
sab āv-tāv chāl-chalan bolne lage
jab taan lī hai raat ne ḳhāmoshī kī ridā
jugnū sitāre chāñd gagan bolne lage
bazm-e-tasavvurāt meñ maazī kā raqs thā
yādoñ ke ghuñghrū chhanā chhan bolne lage
ash.ār meñ yuuñ Dhāliye tasvīr-e-kā.enāt
jādū-bayāñ qalam rahe fan bolne lage
parde mein KHamushi ke suKHan bolne lage
kaTi gai zaban to nayan bolne lage
qatil to mutmain tha Thikane laga ke lash
kafur chiKH uTThe kafan bolne lage
ahl-e-chaman ne kho di basirat to yun hua
gulshan ke sare zagh-o-zaghan bolne lage
yun bhi hua hai lakh mukhoTon ke bawajud
sab aaw-taw chaal-chalan bolne lage
jab tan li hai raat ne KHamoshi ki rida
jugnu sitare chand gagan bolne lage
bazm-e-tasawwuraat mein mazi ka raqs tha
yaadon ke ghunghru chhana chhan bolne lage
ashaar mein yun Dhaaliye taswir-e-kaenat
jadu-bayan qalam rahe fan bolne lage
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.