parde mein samt-e-gharb ke mahtab bhi gaya
parde meñ samt-e-ġharb ke mahtāb bhī gayā
aaya na yaar paas mirā ḳhvāb bhī gayā
tauba to kī magar na huī dil kī kam havas
lo haath se vo jām-e-mai-e-nāb bhī gayā
vo saḳht-jāñ huuñ maiñ ki na aa.ī qazā mujhe
me.ade meñ bārhā mire zahrāb bhī gayā
masjid meñ sar jhukāyā jo maiñ ne pa-e-namāz
sajde ke saath hī ḳham-e-mehrāb bhī gayā
sāya-fagan jo sar pe mire ibtidā se thā
hai hai vo aaj gulbun-e-shādāb bhī gayā
yaad aa.ī nāḳhudā ko mirī nā-shanāvarī
sar par se jab guzar mire sailāb bhī gayā
aa yaar saath saath shab-e-pardā-posh ke
ab to faroġh-e-mehr-e-jahāñ-tāb bhī gayā
jaadū ḳhayāl-e-yār hai ai ham-nashīñ na pūchh
pās-e-lihāz-dārī-e-ahbāb bhī gayā
duniyā se kaise kaise jafā-kesh uTh ga.e
ham 'shād' hī ko rote the 'nāyāb' bhī gayā
parde mein samt-e-gharb ke mahtab bhi gaya
aaya na yar pas mera KHwab bhi gaya
tauba to ki magar na hui dil ki kam hawas
lo hath se wo jam-e-mai-e-nab bhi gaya
wo saKHt-jaan hun main ki na aai qaza mujhe
meade mein barha mere zahrab bhi gaya
masjid mein sar jhukaya jo main ne pa-e-namaz
sajde ke sath hi KHam-e-mehrab bhi gaya
saya-fagan jo sar pe mere ibtida se tha
hai hai wo aaj gulbun-e-shadab bhi gaya
yaad aai naKHuda ko meri na-shanawari
sar par se jab guzar mere sailab bhi gaya
aa yar sath sath shab-e-parda-posh ke
ab to farogh-e-mehr-e-jahan-tab bhi gaya
jadu KHayal-e-yar hai ai ham-nashin na puchh
pas-e-lihaz-dari-e-ahbab bhi gaya
duniya se kaise kaise jafa-kesh uTh gae
hum 'shad' hi ko rote the 'nayab' bhi gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.