pareshan ai zulf-e-bahar-dam na ho
pareshān ai zulf-e-bahar-dam na ho
sinān-e-mizha kī tū parcham na ho
tabībo yahī aarzū hai mujhe
sar-e-dāġh par pā-e-marham na ho
marā haal darham na ho is qadar
jo zulf-e-siyah us kī barham na ho
jafā-kār ho terī daulat ziyād
mirā āh-o-nāla kabhī kam na ho
jalūñ sham.a-sāñ garmī-e-ishq se
dam-e-sard merā jo be-dam na ho
vahī dam dam-e-āḳhirī ho mirā
tirī yaad meñ sarf jo dam na ho
safā-parvarāñ shola-rū mil chukā
kabhī aag aur paanī bāham na ho
laboñ par tire daañt to hai magar
Darūñ huuñ kahīñ ye shakar sam na ho
sadā rū-ba-rū hai vo ḳhurshīd-rū
kabhī ḳhushk ye dīda-e-nam na ho
na sajda kare koī mehrāb ko
sar us kā tavāzo se gar ḳham na ho
ġham us kā jo ho ḳhāna-pardāz-e-dil
to 'joshish' kasī chiiz kā ġham na ho
pareshan ai zulf-e-bahar-dam na ho
sinan-e-mizha ki tu parcham na ho
tabibo yahi aarzu hai mujhe
sar-e-dagh par pa-e-marham na ho
mara haal darham na ho is qadar
jo zulf-e-siyah us ki barham na ho
jafa-kar ho teri daulat ziyaad
mera aah-o-nala kabhi kam na ho
jalun shama-san garmi-e-ishq se
dam-e-sard mera jo be-dam na ho
wahi dam dam-e-aKHiri ho mera
teri yaad mein sarf jo dam na ho
safa-parwaran shola-ru mil chuka
kabhi aag aur pani baham na ho
labon par tere dant to hai magar
Darun hun kahin ye shakar sam na ho
sada ru-ba-ru hai wo KHurshid-ru
kabhi KHushk ye dida-e-nam na ho
na sajda kare koi mehrab ko
sar us ka tawazo se gar KHam na ho
gham us ka jo ho KHana-pardaz-e-dil
to 'joshish' kasi chiz ka gham na ho
- Deewan-e-Joshish(Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.