pareshan haal daman dhajjiyan surat faqirana
pareshān haal dāman dhajjiyāñ sūrat faqīrāna
ye terā tālib-e-nāshād hai yā koī dīvāna
na ho kuchh aur to itnī hī nisbat tujh se ho jaa.e
jidhar jā.ūñ zamāna mujh ko samjhe terā dīvāna
koī to baat hai jo sham.a ke aañsū nahīñ thamte
abhī kyā kahte kahte ho gayā ḳhāmosh parvāna
hazāroñ hasrateñ ābād haiñ lākhoñ tamannā.eñ
isī dil meñ ba-zāhir jo nazar aatā hai vīrāna
pilā de mai-kada-bar-dosh āñkhoñ se mujhe saaqī
uThā le mere aage se ye shīsha aur paimāna
mirī rūdād-e-ġham kī allah allah ye hama-gīrī
samajhtā hai use har sunñe vaalā apnā afsāna
mohabbat kī na ho gar kār-farmā.ī to duniyā meñ
hujūm-e-bulbul-o-gul ho na bazm-e-sham-o-parvāna
janāb-e-nāseh-e-mushfiq haiñ kuchh kho.e hue 'tālib'
kisī kāfir ko shāyad dekh aa.e be-hijābāna
pareshan haal daman dhajjiyan surat faqirana
ye tera talib-e-nashad hai ya koi diwana
na ho kuchh aur to itni hi nisbat tujh se ho jae
jidhar jaun zamana mujh ko samjhe tera diwana
koi to baat hai jo shama ke aansu nahin thamte
abhi kya kahte kahte ho gaya KHamosh parwana
hazaron hasraten aabaad hain lakhon tamannaen
isi dil mein ba-zahir jo nazar aata hai virana
pila de mai-kada-bar-dosh aankhon se mujhe saqi
uTha le mere aage se ye shisha aur paimana
meri rudad-e-gham ki allah allah ye hama-giri
samajhta hai use har sunne wala apna afsana
mohabbat ki na ho gar kar-farmai to duniya mein
hujum-e-bulbul-o-gul ho na bazm-e-sham-o-parwana
janab-e-naseh-e-mushfiq hain kuchh khoe hue 'talib'
kisi kafir ko shayad dekh aae be-hijabana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.