pareshan-KHatiri mein lab pe kyon aae dua meri
pareshan-KHatiri mein lab pe kyon aae dua meri
Nazeer Mirza Barlas
MORE BYNazeer Mirza Barlas
pareshāñ-ḳhātirī meñ lab pe kyoñ aa.e duā merī
na rusvā-e-jahān-e-ārzū hogī vafā merī
mujhe ahd-e-guzishta kī vafā.eñ yaad aatī haiñ
mirī is intihā se ḳhuub thī vo ibtidā merī
mirī fitrat kā maqsad hai taġhayyur-āshnā rahnā
na ġham hī mustaqil merā na rāhat der-pā merī
muqaddar meñ nahīñ hai kāmrān-e-ārzū honā
sazā-vār-e-ijābat ho nahīñ saktī duā merī
'nazīr' apne junūñ kī shoḳhiyāñ haiñ yaad ab tak bhī
tabī.at thī qayāmat kī sukūñ-nā-āshnā merī
pareshan-KHatiri mein lab pe kyon aae dua meri
na ruswa-e-jahan-e-arzu hogi wafa meri
mujhe ahd-e-guzishta ki wafaen yaad aati hain
meri is intiha se KHub thi wo ibtida meri
meri fitrat ka maqsad hai taghayyur-ashna rahna
na gham hi mustaqil mera na rahat der-pa meri
muqaddar mein nahin hai kaamran-e-arzu hona
saza-war-e-ijabat ho nahin sakti dua meri
'nazir' apne junun ki shoKHiyan hain yaad ab tak bhi
tabiat thi qayamat ki sukun-na-ashna meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.