pareshan tha magar aisa nahin tha
pareshāñ thā magar aisā nahīñ thā
ki mujh meñ koī tujh jaisā nahīñ thā
tabāh hone lagī har vaqt vo bhī
akelā maiñ hī dīvāna nahīñ thā
jafā ġham hijr ḳhvāhish yaad bāteñ
agar dekho to us meñ kyā nahīñ thā
ġhazab jalva-numā thā vasl us kā
abhī tak sochtā huuñ thā nahīñ thā
tumhāre ishq ke hāthoñ se marne
hameñ aanā paḌā aanā nahīñ thā
vahīñ se jism us kā kāñptā thā
jahāñ par maiñ use chhūtā nahīñ thā
mohabbat thī na thī ye baat chhoḌo
jo tum ne kah diyā kahnā nahīñ thā
pareshan tha magar aisa nahin tha
ki mujh mein koi tujh jaisa nahin tha
tabah hone lagi har waqt wo bhi
akela main hi diwana nahin tha
jafa gham hijr KHwahish yaad baaten
agar dekho to us mein kya nahin tha
ghazab jalwa-numa tha wasl us ka
abhi tak sochta hun tha nahin tha
tumhaare ishq ke hathon se marne
hamein aana paDa aana nahin tha
wahin se jism us ka kanpta tha
jahan par main use chhuta nahin tha
mohabbat thi na thi ye baat chhoDo
jo tum ne kah diya kahna nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.