pareshani hai ji ghabra raha hai
pareshānī hai jī ghabrā rahā hai
koī dhīme suroñ meñ gā rahā hai
kahūñ kyā hāl-e-nākām-e-mohabbat
tamannāoñ se jī bahlā rahā hai
koī shab kī ḳhamoshī meñ hai giryāñ
tasavvur meñ koī samjhā rahā hai
tasavvur kī ye maqsad-āfrīnī
maiñ samjhā koī sach-much aa rahā hai
jo rasta ḳhuld meñ niklā hai jā kar
vo dozaḳh se nikal kar jā rahā hai
pareshani hai ji ghabra raha hai
koi dhime suron mein ga raha hai
kahun kya haal-e-nakaam-e-mohabbat
tamannaon se ji bahla raha hai
koi shab ki KHamoshi mein hai giryan
tasawwur mein koi samjha raha hai
tasawwur ki ye maqsad-afrini
main samjha koi sach-much aa raha hai
jo rasta KHuld mein nikla hai ja kar
wo dozaKH se nikal kar ja raha hai
- Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 600)
- Author : Dr. Abdul Wahid
- Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.