pari ke aane ke imkan bante jate hain
parī ke aane ke imkān bante jaate haiñ
ye dasht saare gulistān bante jaate haiñ
ajab havas hai mohalle meñ taḳht jītne kī
ye log haiñ ki sulaimān bante jaate haiñ
maiñ in ko dekh ke chāhūñ ke vo gale lag jaa.eñ
vo mujh ko dekh ke anjān bante jaate haiñ
vo jitne soch ke mushkil savāl kartā hai
javāb utne hī āsān bante jaate haiñ
unheñ maiñ sher kī sūrat kabhī ugal dūñgā
jo dil meñ dard ke tūfān bante jaate haiñ
ajiib kūza-garī se dimāġh juḌ gayā hai
gulāb soch luuñ gul-dān bante jaate haiñ
kisī faqīr ke hujre meñ baiThne ke ba.ad
jo aadmī haiñ vo insān bante jaate haiñ
pari ke aane ke imkan bante jate hain
ye dasht sare gulistan bante jate hain
ajab hawas hai mohalle mein taKHt jitne ki
ye log hain ki sulaiman bante jate hain
main in ko dekh ke chahun ke wo gale lag jaen
wo mujh ko dekh ke anjaan bante jate hain
wo jitne soch ke mushkil sawal karta hai
jawab utne hi aasan bante jate hain
unhen main sher ki surat kabhi ugal dunga
jo dil mein dard ke tufan bante jate hain
ajib kuza-gari se dimagh juD gaya hai
gulab soch lun gul-dan bante jate hain
kisi faqir ke hujre mein baiThne ke baad
jo aadmi hain wo insan bante jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.