pari shishe ke andar aa paDi hai
parī shīshe ke andar aa paḌī hai
mai-e-gulnār kī vaq.at baḌī hai
uThāyā sāġhar-e-zarrīñ to samjhe
pas-e-dīvār māshūqa khaḌī hai
diyā jab ki ḳhirāj-e-husn ham ne
ye choTī kis liye pīchhe paḌī hai
saf-e-dandāñ hai dahan-e-mushkbū meñ
ki sāñche motiyoñ kī ye laḌī hai
gumāñ hotā hai sumbul kī lachak par
kisī dast-e-nigārīñ meñ chhaḌī hai
ba-rabt-e-ḳhās ho taz.īn-e-ḳhātir
ye husn-o-ishq kī nāzuk kaḌī hai
huī āsā.ish-e-duniyā to hāsil
magar aage qayāmat kī ghaḌī hai
na chhūTī dīda-e-ushshāq se kyoñ
ye barkhā hai ki aañsū kī jhaḌī hai
huā naḳhchīr āḳhir nazr-e-tā.ir
nigah kis auj pe 'nasrīn' laḌī hai
pari shishe ke andar aa paDi hai
mai-e-gulnar ki waqat baDi hai
uThaya saghar-e-zarrin to samjhe
pas-e-diwar mashuqa khaDi hai
diya jab ki KHiraj-e-husn hum ne
ye choTi kis liye pichhe paDi hai
saf-e-dandan hai dahan-e-mushkbu mein
ki sanche motiyon ki ye laDi hai
guman hota hai sumbul ki lachak par
kisi dast-e-nigarin mein chhaDi hai
ba-rabt-e-KHas ho tazin-e-KHatir
ye husn-o-ishq ki nazuk kaDi hai
hui aasaish-e-duniya to hasil
magar aage qayamat ki ghaDi hai
na chhuTi dida-e-ushshaq se kyon
ye barkha hai ki aansu ki jhaDi hai
hua naKHchir aaKHir nazr-e-tair
nigah kis auj pe 'nasrin' laDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.