parind chhat pe bulate hain bain karte hain
parind chhat pe bulāte haiñ bain karte haiñ
mirī bayāz dikhāte haiñ bain karte haiñ
inheñ pata hī nahīñ band khiḌkiyoñ kī sisak
ye log ro nahīñ paate haiñ bain karte haiñ
bahār dekhne jaatā huuñ baaġh meñ to shajar
purāne zaḳhm gināte haiñ bain karte haiñ
dhuāñ dhuāñ haiñ makāñ aur ye raushnī ke ġhulām
bujhe charāġh dikhāte haiñ bain karte haiñ
maiñ kis ko baat batā.ūñ ki sab mire aage
kisī ko baat batāte haiñ bain karte haiñ
janāb-e-man mire sheroñ kā ehtirām kareñ
ye merā haath baTāte haiñ bain karte haiñ
parind chhat pe bulate hain bain karte hain
meri bayaz dikhate hain bain karte hain
inhen pata hi nahin band khiDkiyon ki sisak
ye log ro nahin pate hain bain karte hain
bahaar dekhne jata hun bagh mein to shajar
purane zaKHm ginate hain bain karte hain
dhuan dhuan hain makan aur ye raushni ke ghulam
bujhe charagh dikhate hain bain karte hain
main kis ko baat bataun ki sab mere aage
kisi ko baat batate hain bain karte hain
janab-e-man mere sheron ka ehtiram karen
ye mera hath baTate hain bain karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.