Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

parinda aaine se kya laDega

Imran Aami

parinda aaine se kya laDega

Imran Aami

MORE BYImran Aami

    parinda aa.ine se kyā laḌegā

    fareb-e-zāt meñ aa kar maregā

    mohabbat bhī baḌī lambī saḌak hai

    barahna-pā koī kitnā chalegā

    hamāre jāgne tak dekhnā tum

    hamāre ḳhvāb charchā rahegā

    hamārī ḳhaak se duniyā banī thī

    hamārī raakh se ab kyā banegā

    ye chingārī bhaḌak uTThegī ik din

    miyāñ ye 'ishq hai ho kar rahegā

    tujhe duniyā 'ādat paḌ ga.ī hai

    akelā rah gayā to kyā karegā

    maiñ tere saath mar saktā huuñ lekin

    mere saath kyā zinda rahegā

    abhī se soch lo ḳhāna-badosho

    hamārī raah meñ sahrā paḌegā

    samundar ne ravānī siikh hai

    mire dariyā tumhārā kyā banegā

    parinda aaine se kya laDega

    fareb-e-zat mein aa kar marega

    mohabbat bhi baDi lambi saDak hai

    barahna-pa koi kitna chalega

    hamare jagne tak dekhna tum

    hamare KHwab ka charcha rahega

    hamari KHak se duniya bani thi

    hamari rakh se ab kya banega

    ye chingari bhaDak uTThegi ek din

    miyan ye 'ishq hai ho kar rahega

    tujhe duniya ki 'adat paD gai hai

    akela rah gaya to kya karega

    main tere sath mar sakta hun lekin

    tu mere sath kya zinda rahega

    abhi se soch lo KHana-badosho

    hamari rah mein sahra paDega

    samundar ne rawani sikh li hai

    mere dariya tumhaara kya banega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now