parinda hadd-e-nazar tak jo aasman mein hai
parinda hadd-e-nazar tak jo āsmān meñ hai
paroñ meñ zor kahāñ hausla uḌaan meñ hai
abhī se bhiig rahā hai hadaf pasīne meñ
ki tiir chhūTā nahīñ hai abhī kamān meñ hai
giregī kaun sī chhat pe ye kab kise mālūm
kaTī patañg havāoñ ke imtihān meñ hai
sukūn-e-qalb ko mahloñ meñ DhūñDne vaalo
sukūn-e-qalb faqīroñ ke ḳhāndān meñ hai
ḳharīdnā hai jo tohfa tumheñ mohabbat kā
milegā dil ke evaz dard kī dukān meñ hai
hayāt-o-maut faqat naam ghar badalne kā
sameT rakkhā hai sāmān sā.ebān meñ hai
parinda hadd-e-nazar tak jo aasman mein hai
paron mein zor kahan hausla uDan mein hai
abhi se bhig raha hai hadaf pasine mein
ki tir chhuTa nahin hai abhi kaman mein hai
giregi kaun si chhat pe ye kab kise malum
kaTi patang hawaon ke imtihan mein hai
sukun-e-qalb ko mahlon mein DhunDne walo
sukun-e-qalb faqiron ke KHandan mein hai
KHaridna hai jo tohfa tumhein mohabbat ka
milega dil ke ewaz dard ki dukan mein hai
hayat-o-maut faqat nam ghar badalne ka
sameT rakkha hai saman saeban mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.