parinde aazmae ja rahe the
parinde āzmā.e jā rahe the
paroñ se ghar banā.e jā rahe the
kisī sahrā se aatī thiiñ sadā.eñ
kahīñ peḌoñ ke saa.e jā rahe the
gharoñ se log hijrat kar rahe the
charāġhoñ ko bujhā.e jā rahe the
purāne peḌ kaTte jā rahe the
na.e paude lagā.e jā rahe the
kahīñ mā-ba.ad ham ne aañkh kholī
hameñ sapne dikhā.e jā rahe the
mohabbat nā-mukammal rah ga.ī thī
purāne ḳhat jalā.e jā rahe the
udhar sūraj saroñ par aa rahā thā
idhar jismoñ se saa.e jā rahe the
ajab vo sāneha thā chhoḌ kar jab
sabhī apne parā.e jā rahe the
parinde aazmae ja rahe the
paron se ghar banae ja rahe the
kisi sahra se aati thin sadaen
kahin peDon ke sae ja rahe the
gharon se log hijrat kar rahe the
charaghon ko bujhae ja rahe the
purane peD kaTte ja rahe the
nae paude lagae ja rahe the
kahin ma-baad hum ne aankh kholi
hamein sapne dikhae ja rahe the
mohabbat na-mukammal rah gai thi
purane KHat jalae ja rahe the
udhar suraj saron par aa raha tha
idhar jismon se sae ja rahe the
ajab wo saneha tha chhoD kar jab
sabhi apne parae ja rahe the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.