parinde dhup kabhi barishon mein rahte hain
parinde dhuup kabhī bārishoñ meñ rahte haiñ
sunahre kal ke liye hijratoñ meñ rahte haiñ
makāñ meñ dil ke vo gahrā.iyoñ meñ rahte haiñ
mirī nazar mirī tanhā.iyoñ meñ rahte haiñ
zabāñ pe mohr-e-ḳhamoshī nazar nazar meñ savāl
vo sahme sahme se ḳhāmoshiyoñ meñ rahte haiñ
vo jin ke lahje meñ thī ḳhushbueñ mohabbat kī
ab aise log kahāñ bastiyoñ meñ rahte haiñ
tavīl ho ga.ī itnī mire ḳhutūt kī 'umr
navishta lafz chhupe jhurriyoñ meñ rahte haiñ
parinde dhup kabhi barishon mein rahte hain
sunahre kal ke liye hijraton mein rahte hain
makan mein dil ke wo gahraiyon mein rahte hain
meri nazar meri tanhaiyon mein rahte hain
zaban pe mohr-e-KHamoshi nazar nazar mein sawal
wo sahme sahme se KHamoshiyon mein rahte hain
wo jin ke lahje mein thi KHushbuen mohabbat ki
ab aise log kahan bastiyon mein rahte hain
tawil ho gai itni mere KHutut ki 'umr
nawishta lafz chhupe jhurriyon mein rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.