parinde ghonslon se kah ke ye bahar nikal aae
parinde ghoñsloñ se kah ke ye bāhar nikal aa.e
hameñ uḌne diyā jaa.e hamāre par nikal aa.e
safar meñ zindagī ke maiñ zarā sā laḌkhaḌāyā thā
mujhe Thokar lagāne phir ka.ī patthar nikal aa.e
mohabbat se kisī ne jab safar kī mushkileñ pūchhīñ
ka.ī kāñTe hamāre paañv se bāhar nikal aa.e
bahut se raaz bhī ā.eñge ālī-jāh phir bāhar
ḳhafā ho kar havelī se agar naukar nikal aa.e
ba-zāhir diary ke saare hī aurāq saada the
kiyā jab ġhaur in par to ka.ī manzar nikal aa.e
parinde ghonslon se kah ke ye bahar nikal aae
hamein uDne diya jae hamare par nikal aae
safar mein zindagi ke main zara sa laDkhaDaya tha
mujhe Thokar lagane phir kai patthar nikal aae
mohabbat se kisi ne jab safar ki mushkilen puchhin
kai kanTe hamare panw se bahar nikal aae
bahut se raaz bhi aaenge aali-jah phir bahar
KHafa ho kar haweli se agar naukar nikal aae
ba-zahir diary ke sare hi auraq sada the
kiya jab ghaur in par to kai manzar nikal aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.