parinde ghonslon se kah ke ye bahar nikal aae
parinde ghoñsloñ se kah ke ye bāhar nikal aa.e
hameñ uḌne diyā jaa.e hamāre par nikal aa.e
mohabbat se kisī ne jab safar kī mushkileñ pūchhīñ
ka.ī kāñTe hamāre paañv se bāhar nikal aa.e
bahut se raaz bhī ā.eñge 'ālī-jāh phir bāhar
ḳhafā ho kar havelī se agar naukar nikal aa.e
safar meñ zindagī ke maiñ zarā sā laḌkhaḌāyā thā
mujhe Thokar lagāne phir ka.ī patthar nikal aa.e
bazāhir Diary ke saare hī aurāq saada the
unheñ jab ġhaur se dekhā ka.ī manzar nikal aa.e
parinde ghonslon se kah ke ye bahar nikal aae
hamein uDne diya jae hamare par nikal aae
mohabbat se kisi ne jab safar ki mushkilen puchhin
kai kanTe hamare panw se bahar nikal aae
bahut se raaz bhi aaenge 'ali-jah phir bahar
KHafa ho kar haweli se agar naukar nikal aae
safar mein zindagi ke main zara sa laDkhaDaya tha
mujhe Thokar lagane phir kai patthar nikal aae
bazahir Diary ke sare hi auraq sada the
unhen jab ghaur se dekha kai manzar nikal aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.