parinde uske liye hain rasul us ka hai
parinde us ke liye haiñ rasūl us kā hai
hamārī baat meñ har dam shumūl us kā hai
alam ko chuum ke paḌhte haiñ mad.h-e-rabb-e-alī
ki sab se pahle to ibn-ul-batūl us kā hai
ġhazal ke jitne vasīle haiñ saare us ke haiñ
mafā.alāt hai us kā fa.uul us kā hai
yahāñ ke rasm-o-rivāj ab nahīñ mire bas ke
maiñ chal rahī huuñ lagan se usuul us kā hai
hasīn vo hai so duniyā use hasīn kahe
qarīb vo hai so qurbat kā phuul us kā hai
mirā ye haq hai ki maiñ us pe e.atibār karūñ
munāfiqat hai ki half-ul-fuzūl us kā hai
'sabā' chalī to uḌe panchhiyoñ ke hosh-o-havās
ki rāh-e-bahr meñ sahrā babūl us kā hai
parinde us ke liye hain rasul us ka hai
hamari baat mein har dam shumul us ka hai
alam ko chum ke paDhte hain madh-e-rabb-e-ali
ki sab se pahle to ibn-ul-batul us ka hai
ghazal ke jitne wasile hain sare us ke hain
mafaalat hai us ka faul us ka hai
yahan ke rasm-o-riwaj ab nahin mere bas ke
main chal rahi hun lagan se usul us ka hai
hasin wo hai so duniya use hasin kahe
qarib wo hai so qurbat ka phul us ka hai
mera ye haq hai ki main us pe eatibar karun
munafiqat hai ki half-ul-fuzul us ka hai
'saba' chali to uDe panchhiyon ke hosh-o-hawas
ki rah-e-bahr mein sahra babul us ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.