parindon ka shajar ko chhoD kar jaana zaruri tha
parindoñ kā shajar ko chhoḌ kar jaanā zarūrī thā
ki taa.ir ko ḳhizāñ kā ḳhauf bhī khānā zarūrī thā
kahānī maiñ sunātī roz ik us ko rihā.ī kī
qafas meñ qaid dil ko ḳhvāb dikhlānā zarūrī thā
jo hotī itr maiñ to bas hī jaatī jism meñ tere
maiñ thī tulsī mirā āñgan ko mahkānā zarūrī thā
hazāroñ hasrateñ haiñ ḳhvāhisheñ haiñ qaid jab dil meñ
mujhe pā kar tirā un ko bhī to paanā zarūrī thā
kiyā botal meñ dil ko qaid phir pheñkā samundar meñ
mire siine se dil kā duur ho jaanā zarūrī thā
batā kar duudh jab paanī diyā thā saath roTī ke
yuuñ maañ kā raat phir bachchoñ ko bahlānā zarūrī thā
aziyyat raat khāne meñ parosī muflisī ke saath
'hiyā' kā hausla phir saath meñ khānā zarūrī thā
parindon ka shajar ko chhoD kar jaana zaruri tha
ki tair ko KHizan ka KHauf bhi khana zaruri tha
kahani main sunati roz ek us ko rihai ki
qafas mein qaid dil ko KHwab dikhlana zaruri tha
jo hoti itr main to bas hi jati jism mein tere
main thi tulsi mera aangan ko mahkana zaruri tha
hazaron hasraten hain KHwahishen hain qaid jab dil mein
mujhe pa kar tera un ko bhi to pana zaruri tha
kiya botal mein dil ko qaid phir phenka samundar mein
mere sine se dil ka dur ho jaana zaruri tha
bata kar dudh jab pani diya tha sath roTi ke
yun man ka raat phir bachchon ko bahlana zaruri tha
aziyyat raat khane mein parosi muflisi ke sath
'hiya' ka hausla phir sath mein khana zaruri tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.