partaw-e-ruKH hai aaina kya hai
partav-e-ruḳh hai aa.ina kyā hai
aap apne ko dekhtā kyā hai
bas yahī ik nigāh-e-lutf-o-karam
aap se aur iltijā kyā hai
rahne do muñh mirā na khulvāo
aisī bātoñ se fā.eda kyā hai
mirī hastī hai morid-e-ālām
maut aa jaa.e to burā kyā hai
khich ke chalte haiñ ḳhud tire nāvak
dil-e-betāb kī ḳhatā kyā hai
ibtidā jis kī maut hai yā-rab
aisī ulfat kī intihā kyā hai
partaw-e-ruKH hai aaina kya hai
aap apne ko dekhta kya hai
bas yahi ek nigah-e-lutf-o-karam
aap se aur iltija kya hai
rahne do munh mera na khulwao
aisi baaton se faeda kya hai
meri hasti hai morid-e-alam
maut aa jae to bura kya hai
khich ke chalte hain KHud tere nawak
dil-e-betab ki KHata kya hai
ibtida jis ki maut hai ya-rab
aisi ulfat ki intiha kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.