partaw hai tere ruKH ka jo jam-e-sharab mein
partaw hai tere ruKH ka jo jam-e-sharab mein
Munshi Thakur Parsad Talib
MORE BYMunshi Thakur Parsad Talib
partav hai tere ruḳh kā jo jām-e-sharāb meñ
aatā hai māhtāb nazar āftāb meñ
dekhī shikan jo un kī jabīñ kī itaab meñ
mistar ke ḳhat dikhā.ī diye āftāb meñ
Tapkā jo tere ruḳh se pasīna sharāb meñ
mahtāb se sitāre gire āftāb meñ
yaañ aa.ī maut vaañ jo chhupā ruḳh naqāb meñ
parda rahā ki aa.ī qazā bhī hijāb meñ
vasl-e-ḳhudā hī donoñ ko apne hisāb meñ
nākām meñ vahī hai jo hai kāmyāb meñ
qāsid kī jaan paḌ ga.ī qahr-o-azāb meñ
kyā jaane kyā likhā thā unheñ iztirāb meñ
gauhar sadaf meñ mahr-e-mubīñ hai sahāb meñ
shīsha meñ hai parī ki tarah ruḳh naqāb meñ
hushyār bāġh-e-dahr meñ koī nahīñ rahā
sabza bhī so rahā hai paḌā mast ḳhvāb meñ
ye bad-gumāniyāñ ki abhī kuchh kahā nahīñ
baiThe haiñ vo gaḌhe hue fiqre javāb meñ
ḳhairāt hī pilā de koī jaam sāqiyā
der is qadar na chāhiye kār-e-savāb meñ
dil meñ lagī hai aag ināyat se ishq kī
allāh yuuñ kisī ko na Daale azaab meñ
piitā huuñ maiñ jo sāqī-e-ēsā-nafas baġhair
paatā huuñ saaf maut kī talḳhī sharāb meñ
mahshar meñ hoñge ham sabab-e-baḳhshish-e-jahāñ
hogā tamām hashr hamāre hisāb meñ
ḳhalvat meñ mat bulā.iye 'tālib' hai be-qarār
pesh aa.e kuchh na aur kahīñ iztirāb meñ
partaw hai tere ruKH ka jo jam-e-sharab mein
aata hai mahtab nazar aaftab mein
dekhi shikan jo un ki jabin ki itab mein
mistar ke KHat dikhai diye aaftab mein
Tapka jo tere ruKH se pasina sharab mein
mahtab se sitare gire aaftab mein
yan aai maut wan jo chhupa ruKH naqab mein
parda raha ki aai qaza bhi hijab mein
wasl-e-KHuda hi donon ko apne hisab mein
nakaam mein wahi hai jo hai kaamyab mein
qasid ki jaan paD gai qahr-o-azab mein
kya jaane kya likha tha unhen iztirab mein
gauhar sadaf mein mahr-e-mubin hai sahab mein
shisha mein hai pari ki tarah ruKH naqab mein
hushyar bagh-e-dahr mein koi nahin raha
sabza bhi so raha hai paDa mast KHwab mein
ye bad-gumaniyan ki abhi kuchh kaha nahin
baiThe hain wo gaDhe hue fiqre jawab mein
KHairaat hi pila de koi jam saqiya
der is qadar na chahiye kar-e-sawab mein
dil mein lagi hai aag inayat se ishq ki
allah yun kisi ko na Dale azab mein
pita hun main jo saqi-e-eesa-nafas baghair
pata hun saf maut ki talKHi sharab mein
mahshar mein honge hum sabab-e-baKHshish-e-jahan
hoga tamam hashr hamare hisab mein
KHalwat mein mat bulaiye 'talib' hai be-qarar
pesh aae kuchh na aur kahin iztirab mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.