parwana soz-e-shama se yun ba-KHabar na ho
parvāna soz-e-sham.a se yuuñ bā-ḳhabar na ho
dil se lagī na ho to zabāñ meñ asar na ho
kaahe ko yuuñ basī kabhī bastī ḳhayāl kī
duniyā ujaḌ bhī jaa.e to ham ko ḳhabar na ho
uf uf banī hai ek zamāne kī jaan par
ab dil-jaloñ kī aah meñ yā-rab asar na ho
yā uThtī mauj chaltī havā se thī barhamī
yā ab mujhe malāl kisī baat par na ho
ā.īina-e-jamāl-e-jahāñ ko bahut na dekh
Dartā hai dil kahīñ tujhe apnī nazar na ho
nairangī-e-malāl bahut nāgavār hai
duniyā-e-ġham meñ shaam na ho yā sahar na ho
duniyā se uTThe dil kī kahānī bañdhī rahī
yuuñ bhī kisī malāl-zada kī basar na ho
har sū hai ik malāl kī duniyā basī huī
rū-e-ḳhayāl aah kidhar ho kidhar na ho
haañ haañ har ek zarra hai ā.īna-e-jamāl
kyā dekhe tujh ko jis kī tirī sī nazar na ho
parwana soz-e-shama se yun ba-KHabar na ho
dil se lagi na ho to zaban mein asar na ho
kahe ko yun basi kabhi basti KHayal ki
duniya ujaD bhi jae to hum ko KHabar na ho
uf uf bani hai ek zamane ki jaan par
ab dil-jalon ki aah mein ya-rab asar na ho
ya uThti mauj chalti hawa se thi barhami
ya ab mujhe malal kisi baat par na ho
aaiina-e-jamal-e-jahan ko bahut na dekh
Darta hai dil kahin tujhe apni nazar na ho
nairangi-e-malal bahut nagawar hai
duniya-e-gham mein sham na ho ya sahar na ho
duniya se uTThe dil ki kahani bandhi rahi
yun bhi kisi malal-zada ki basar na ho
har su hai ek malal ki duniya basi hui
ru-e-KHayal aah kidhar ho kidhar na ho
han han har ek zarra hai aaina-e-jamal
kya dekhe tujh ko jis ki teri si nazar na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.