parwaz mein jo sath na de aasman par
parvāz meñ jo saath na de āsmān par
behtar hai ḳhaak Dāliye aisī uḌaan par
ab qurb-o-ba.ad meñ na rahā koī fāsla
duniyā simaT ke aa ga.ī mere makān par
merā harīf darpai-e-āzār hai mire
mujh ko hadaf banātā hai vahm-o-gumān par
shah-zor se kabhī nahīñ kartā muqābla
chaltā hai us kā zor faqat be-zabān par
mīzān-e-adl ko nahīñ laatā ba-rū-e-kār
kartā hai inhisār vo farzī bayān par
ye ḳhū-e-be-niyāzī hai mujh ko bahut aziiz
aa.e kabhī na harf mirī ān-bān par
jis kī nahīñ hai aaj kahīñ koī yādgār
kartā hai faḳhr vo mire nām-o-nishān par
dehlī meñ ek shā.er-e-gumnām kā kalām
'barqī' hai ab muhīt zamān-o-makān par
parwaz mein jo sath na de aasman par
behtar hai KHak Daliye aisi uDan par
ab qurb-o-baad mein na raha koi fasla
duniya simaT ke aa gai mere makan par
mera harif darpai-e-azar hai mere
mujh ko hadaf banata hai wahm-o-guman par
shah-zor se kabhi nahin karta muqabla
chalta hai us ka zor faqat be-zaban par
mizan-e-adl ko nahin lata ba-ru-e-kar
karta hai inhisar wo farzi bayan par
ye KHu-e-be-niyazi hai mujh ko bahut aziz
aae kabhi na harf meri aan-ban par
jis ki nahin hai aaj kahin koi yaadgar
karta hai faKHr wo mere nam-o-nishan par
dehli mein ek shaer-e-gumnam ka kalam
'barqi' hai ab muhit zaman-o-makan par
- Book : Inpage File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.