pas-e-diwar bhi diwar uThae hue hain
pas-e-dīvār bhī dīvār uThā.e hue haiñ
mere sāthī mire lāshe ko chhupā.e hue haiñ
kis se pūchhūñ ki mire naam kī taḳhtī hai kahāñ
mere siine meñ to vīrāne samā.e hue haiñ
un se kah do jo makīñ haiñ mire ghar meñ ki mujhe
log phir bechne bāzār meñ laa.e hue haiñ
zulmateñ un kā ijāra haiñ chalo yuuñ hī sahī
ham bhī lau dil ke charāġhoñ kī baḌhā.e hue haiñ
āsmāñ par na sitāre na zamīñ par jugnū
kaun phir māthoñ pe kirneñ sī sajā.e hue haiñ
ham to patjhaḌ kī sadā haiñ hameñ dekho na suno
ham ko socho ki bahāroñ ko sajā.e hue haiñ
ret par maiñ bhī gharauñdā liye baiThā huuñ 'matīn'
vo bhī har qatra-e-bārish meñ samā.e hue haiñ
pas-e-diwar bhi diwar uThae hue hain
mere sathi mere lashe ko chhupae hue hain
kis se puchhun ki mere nam ki taKHti hai kahan
mere sine mein to virane samae hue hain
un se kah do jo makin hain mere ghar mein ki mujhe
log phir bechne bazar mein lae hue hain
zulmaten un ka ijara hain chalo yun hi sahi
hum bhi lau dil ke charaghon ki baDhae hue hain
aasman par na sitare na zamin par jugnu
kaun phir mathon pe kirnen si sajae hue hain
hum to patjhaD ki sada hain hamein dekho na suno
hum ko socho ki bahaaron ko sajae hue hain
ret par main bhi gharaunda liye baiTha hun 'matin'
wo bhi har qatra-e-barish mein samae hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.