pas-e-diwar mumkin hai
pas-e-dīvār mumkin hai
agarche pyaar mumkin hai
kahīñ hai kār-āmad aur
kahīñ be-kār mumkin hai
yahāñ mumkin nahīñ hai jo
samundar paar mumkin hai
nibhā.ūñgā maiñ yak-tarfa
jahāñ tak yaar mumkin hai
tire dam se yahāñ sab kuchh
mirī sarkār mumkin hai
nahīñ hai fā.eda is meñ
jo kārobār mumkin hai
mohabbat kyā havas bhī ab
sar-e-bāzār mumkin hai
kahāñ mumkin nahīñ hai aur
kahāñ dīdār mumkin hai
vahāñ lab hī nahīñ khulte
jahāñ iz.hār mumkin hai
mujhe darpesh ab 'nāmī'
baḌī dushvār mumkin hai
pas-e-diwar mumkin hai
agarche pyar mumkin hai
kahin hai kar-amad aur
kahin be-kar mumkin hai
yahan mumkin nahin hai jo
samundar par mumkin hai
nibhaunga main yak-tarfa
jahan tak yar mumkin hai
tere dam se yahan sab kuchh
meri sarkar mumkin hai
nahin hai faeda is mein
jo karobar mumkin hai
mohabbat kya hawas bhi ab
sar-e-bazar mumkin hai
kahan mumkin nahin hai aur
kahan didar mumkin hai
wahan lab hi nahin khulte
jahan izhaar mumkin hai
mujhe darpesh ab 'nami'
baDi dushwar mumkin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.