pas-e-fasil zamanon ka intizar na ho
pas-e-fasīl zamānoñ kā intizār na ho
ye shahr aur kisī shahr kā ġhubār na ho
ye ḳhvāb bhī na kisī ḳhvāb kā ishāra ho
ye niiñd aur kisī niiñd kā ḳhumār na ho
ye dasht aur kisī dasht kā sarāb sahī
ye baaġh aur kisī baaġh kī bahār na ho
bahut dinoñ se yahī soch kar pareshāñ huuñ
ki tū bhī mere gumāñ hī kā e'tibār na ho
koī to vasl kī saa.at ho jo Thahar jaa.e
koī to saañs luuñ aisī ki jo shumār na ho
pas-e-fasil zamanon ka intizar na ho
ye shahr aur kisi shahr ka ghubar na ho
ye KHwab bhi na kisi KHwab ka ishaara ho
ye nind aur kisi nind ka KHumar na ho
ye dasht aur kisi dasht ka sarab sahi
ye bagh aur kisi bagh ki bahaar na ho
bahut dinon se yahi soch kar pareshan hun
ki tu bhi mere guman hi ka e'tibar na ho
koi to wasl ki saat ho jo Thahar jae
koi to sans lun aisi ki jo shumar na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.