pas-e-gardun kisi ne nam bola tha hamara
pas-e-gardūñ kisī ne naam bolā thā hamārā
badan kī qaid se haa.e rihā honā hamārā
yuuñ ḳhud ko chhoḌ kar nikle kisī kī justujū meñ
hamīñ ne umr-bhar phir rāsta dekhā hamārā
kisī kā aks ham par rah gayā yā aa.ine par
ki apne-āp se chehra nahīñ miltā hamārā
baḌī muddat se is kī dhuup jhele jā rahe haiñ
paḌegā shams par bhī ek din saaya hamārā
taḌaptī hai sisaktī hai yahāñ rah kar musalsal
ye kis kī ruuh hai jis ne badan pahnā hamārā
nishāne par dil-e-majrūh āḳhir kyuuñ hamesha
sitamgar kyā tujhe ye sar nahīñ dikhtā hamārā
banā ke rāz-e-dil har haal meñ vo shaḳhs ham ko
rakhegā yaad par charchā nahīñ hogā hamārā
pas-e-gardun kisi ne nam bola tha hamara
badan ki qaid se hae riha hona hamara
yun KHud ko chhoD kar nikle kisi ki justuju mein
hamin ne umr-bhar phir rasta dekha hamara
kisi ka aks hum par rah gaya ya aaine par
ki apne-ap se chehra nahin milta hamara
baDi muddat se is ki dhup jhele ja rahe hain
paDega shams par bhi ek din saya hamara
taDapti hai sisakti hai yahan rah kar musalsal
ye kis ki ruh hai jis ne badan pahna hamara
nishane par dil-e-majruh aaKHir kyun hamesha
sitamgar kya tujhe ye sar nahin dikhta hamara
bana ke raaz-e-dil har haal mein wo shaKHs hum ko
rakhega yaad par charcha nahin hoga hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.