pas-e-ghubar-e-taghaful jo ek daricha tha
pas-e-ġhubār-e-taġhāful jo ik darīcha thā
usī se hijr kā sūraj tulū' honā thā
sukūt-e-shab thā dar-o-bām the siyāhī thī
pa.e-shumār bahut duur ik sitārā thā
mire hī dam se haiñ raushan ye mehr-o-māh nujūm
mujhe nikāl ke is kā.enāt meñ kyā thā
palaT na jaatī agar raushnī to kyā kartī
fasīl meñ koī rauzan na koī raḳhna thā
ba-īñ-dalīl hue saare falsafe bātil
kahīñ charāġh se pahle charāġh jaltā thā
sharīk ho ke bhī mā'dūm thī mirī shirkat
jo maiñ nahīñ to sar-e-bazm kaun tanhā thā
jo zarra thā to chhupā thā kahāñ mirā jauhar
darūn-e-zāt ye aksar savāl uThtā thā
pas-e-ghubar-e-taghaful jo ek daricha tha
usi se hijr ka suraj tulu' hona tha
sukut-e-shab tha dar-o-baam the siyahi thi
pae-shumar bahut dur ek sitara tha
mere hi dam se hain raushan ye mehr-o-mah nujum
mujhe nikal ke is kaenat mein kya tha
palaT na jati agar raushni to kya karti
fasil mein koi rauzan na koi raKHna tha
ba-in-dalil hue sare falsafe baatil
kahin charagh se pahle charagh jalta tha
sharik ho ke bhi ma'dum thi meri shirkat
jo main nahin to sar-e-bazm kaun tanha tha
jo zarra tha to chhupa tha kahan mera jauhar
darun-e-zat ye aksar sawal uThta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.