pas-e-nazzara koi lahr si thi pani tak
pas-e-nazzāra koī lahr sī thī paanī tak
kyā tamāshā thā na thī aañkh meñ hairānī tak
safar itnā thā kaThin lauT bil-āḳhir aa.e
baḌī mushkil se chale rāh-e-tan-āsānī tak
dhajjiyāñ jism se utrī haiñ abhī ḳhair manāo
tan se utregā yahāñ jāma-e-uryānī tak
kisī anjān chamak ke haiñ dil-o-chashm asiir
silsila ek sā hai aa.ine se paanī tak
sar-o-sāmāñ koī us raah se kyūñkar le jaa.e
chhoḌ aa.e haiñ jahāñ be-sar-o-sāmānī tak
aur phir itnā chale paañv meñ tāqat na rahī
do qadam the mirī dānā.ī se nādānī tak
pas-e-nazzara koi lahr si thi pani tak
kya tamasha tha na thi aankh mein hairani tak
safar itna tha kaThin lauT bil-aKHir aae
baDi mushkil se chale rah-e-tan-asani tak
dhajjiyan jism se utri hain abhi KHair manao
tan se utrega yahan jama-e-uryani tak
kisi anjaan chamak ke hain dil-o-chashm asir
silsila ek sa hai aaine se pani tak
sar-o-saman koi us rah se kyunkar le jae
chhoD aae hain jahan be-sar-o-samani tak
aur phir itna chale panw mein taqat na rahi
do qadam the meri danai se nadani tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.