pas-e-sahil tamasha kya hai baDh kar dekh lena tha
pas-e-sāhil tamāshā kyā hai baḌh kar dekh lenā thā
ki pahle pheñk kar dariyā meñ patthar dekh lenā thā
mukammal jism ik parchhā.īñ meñ Dhal jaatā hai kaise
tumheñ khiḌkī se apnī ye bhī manzar dekh lenā thā
zamīnoñ par utartā āsmāñ dekhā kabhī tum ne
bulāte vaqt us ko ḳhaak kā ghar dekh lenā thā
khulīñ āñkheñ jo ba.ad-az-vaqt to ab kyā talāfī ho
safīna dekhne vaalo samundar dekh lenā thā
charāġh-e-tāq-e-nisyāñ se na jalte ho na bujhte ho
tumheñ ik din havā se bhī lipaT kar dekh lenā thā
liye ik nāfā-e-āhū phire ho dar-ba-dar tum 'aah'
tumheñ us kā sarāpā apne andar dekh lenā thā
pas-e-sahil tamasha kya hai baDh kar dekh lena tha
ki pahle phenk kar dariya mein patthar dekh lena tha
mukammal jism ek parchhain mein Dhal jata hai kaise
tumhein khiDki se apni ye bhi manzar dekh lena tha
zaminon par utarta aasman dekha kabhi tum ne
bulate waqt us ko KHak ka ghar dekh lena tha
khulin aankhen jo baad-az-waqt to ab kya talafi ho
safina dekhne walo samundar dekh lena tha
charagh-e-taq-e-nisyan se na jalte ho na bujhte ho
tumhein ek din hawa se bhi lipaT kar dekh lena tha
liye ek nafa-e-ahu phire ho dar-ba-dar tum 'ah'
tumhein us ka sarapa apne andar dekh lena tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.