pas-e-yaqin kahin hum bhi tere guman mein hain
pas-e-yaqīñ kahīñ ham bhī tire gumān meñ haiñ
tirā nishāñ haiñ ye taare jo āsmān meñ haiñ
haram-sarā thā tirā dil so chhoḌ aa.e use
vagarna kahne ko ab bhī usī makān meñ haiñ
mire nasīb ke ḳhush-rañg ḳhvāb aur sarāb
na is jahān meñ the aur na us jahān meñ haiñ
maiñ apne vāste in meñ se ḳhud hī chun lūñgī
vo sānehe jo mayassar tirī dukān meñ haiñ
sarāb haiñ ye tumhāre sab ā.ina-ḳhāne
basārteñ bhī na-jāne kis imtihān meñ haiñ
kabhī vo ā.ina-e-chashm meñ sañvarte the
vo saare ḳhvāb nisāboñ ke jo bayān meñ haiñ
na-jāne lā.eñge dil par tabāhiyāñ kyā kyā
vo hādse jo abhī tak tirī kamān meñ haiñ
ye pul-sirāt kahāñ le chalā hameñ 'anjum'
na ham zamīñ ke rahe aur na āsmān meñ haiñ
pas-e-yaqin kahin hum bhi tere guman mein hain
tera nishan hain ye tare jo aasman mein hain
haram-sara tha tera dil so chhoD aae use
wagarna kahne ko ab bhi usi makan mein hain
mere nasib ke KHush-rang KHwab aur sarab
na is jahan mein the aur na us jahan mein hain
main apne waste in mein se KHud hi chun lungi
wo sanehe jo mayassar teri dukan mein hain
sarab hain ye tumhaare sab aaina-KHane
basarten bhi na-jaane kis imtihan mein hain
kabhi wo aaina-e-chashm mein sanwarte the
wo sare KHwab nisabon ke jo bayan mein hain
na-jaane laenge dil par tabahiyan kya kya
wo hadse jo abhi tak teri kaman mein hain
ye pul-siraat kahan le chala hamein 'anjum'
na hum zamin ke rahe aur na aasman mein hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.