pas-manzar-e-sukun mein bhi ek be-kali mili
pas-manzar-e-sukūñ meñ bhī ik be-kalī milī
chehroñ ke izhdihām meñ be-chehragī milī
zehnoñ meñ ab bhī ghar kī ghuTan kā ḳhayāl hai
ġhurbat meñ sirf jism ko āsūdgī milī
āñkhoñ ke mai-kadoñ se tamanna ke shahr tak
har-gām ik sarāb milā tishnagī milī
sūraj se hai ḳhirāj kī tālib sipāh-e-shām
kyā phir yazīd-e-shab ko kahīñ sarvarī milī
ye to huā ki zulm ko mohlat milī magar
taqdīs-e-fikr-o-zehn ko paiġhambarī milī
daulat ke eqtidār kā parcham nigūñ huā
mehnat ke e.atibār ko tesha-garī milī
kuchh log to sarāb se bhī pā ga.e murād
ham ko samundaroñ se bhī tishna-labī milī
pas-manzar-e-sukun mein bhi ek be-kali mili
chehron ke izhdiham mein be-chehragi mili
zehnon mein ab bhi ghar ki ghuTan ka KHayal hai
ghurbat mein sirf jism ko aasudgi mili
aankhon ke mai-kadon se tamanna ke shahr tak
har-gam ek sarab mila tishnagi mili
suraj se hai KHiraj ki talib sipah-e-sham
kya phir yazid-e-shab ko kahin sarwari mili
ye to hua ki zulm ko mohlat mili magar
taqdis-e-fikr-o-zehn ko paighambari mili
daulat ke eqtidar ka parcham nigun hua
mehnat ke eatibar ko tesha-gari mili
kuchh log to sarab se bhi pa gae murad
hum ko samundaron se bhi tishna-labi mili
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.