pasand aain mujhko adaen tumhaari
pasand aain mujhko adaen tumhaari
Azeezur Rahman Azeez Pani Pati
MORE BYAzeezur Rahman Azeez Pani Pati
pasand aa.iiñ mujh ko adā.eñ tumhārī
yahī dil meñ hai luuñ balā.eñ tumhārī
kahā vasl ko jab to bole vo hañs kar
haiñ had se ziyāda ḳhatā.eñ tumhārī
jalā kar kiyā ḳhaak soz-e-alam ne
kahāñ tak uThā.ūñ jafā.eñ tumhārī
raheñgī sadā yādgār-e-zamāna
vafā.eñ hamārī jafā.eñ tumhārī
shikāyat na karnā 'azīz' un kī hargiz
ki shāyad vo bigḌī banā.eñ tumhārī
pasand aain mujh ko adaen tumhaari
yahi dil mein hai lun balaen tumhaari
kaha wasl ko jab to bole wo hans kar
hain had se ziyaada KHataen tumhaari
jala kar kiya KHak soz-e-alam ne
kahan tak uThaun jafaen tumhaari
rahengi sada yaadgar-e-zamana
wafaen hamari jafaen tumhaari
shikayat na karna 'aziz' un ki hargiz
ki shayad wo bigDi banaen tumhaari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.