pasand-e-KHatir-e-jaanan hai inkisar mera
pasand-e-ḳhātir-e-jānāñ hai inkisār mirā
isī liye to mah-o-mehr haiñ ġhubār mirā
milī hai mujh ko azal se kamand-e-yazdāñ-gīr
shikār-e-har-kas-o-nā-kas nahīñ shikār mirā
alassabāh mujhe bhar ke jām-e-najm-e-sahar
mudām detā hai sāqī-e-nām-dār mirā
misāl-e-lāla mohabbat ke daaġh hote hue
nahīñ hai dāman-e-dil dekh dāġh-dār mirā
mazā hai vasl meñ aur lutf hijr-e-yār meñ hai
vo phal kā vaqt ye hai mausam-e-bahār mirā
navā-e-nūr ho jab mere lab pe ahl-e-chaman
to ehtirām kare kyoñ na shāḳh-sār mirā
parakh sake jo mujhe vo nigāh-e-pāk kahāñ
judā 'amīñ' hai zar-o-sīm se iyaar marā
pasand-e-KHatir-e-jaanan hai inkisar mera
isi liye to mah-o-mehr hain ghubar mera
mili hai mujh ko azal se kamand-e-yazdan-gir
shikar-e-har-kas-o-na-kas nahin shikar mera
alassabah mujhe bhar ke jam-e-najm-e-sahar
mudam deta hai saqi-e-nam-dar mera
misal-e-lala mohabbat ke dagh hote hue
nahin hai daman-e-dil dekh dagh-dar mera
maza hai wasl mein aur lutf hijr-e-yar mein hai
wo phal ka waqt ye hai mausam-e-bahaar mera
nawa-e-nur ho jab mere lab pe ahl-e-chaman
to ehtiram kare kyon na shaKH-sar mera
parakh sake jo mujhe wo nigah-e-pak kahan
juda 'amin' hai zar-o-sim se iyar mara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.