pasand na-pasand ka koi bhi zabta nahin
pasand nā-pasand kā koī bhī zābta nahīñ
kabhī bhalā bhī hai burā kabhī burā burā nahīñ
to jaise dhuup meñ chamaktā barf-posh kohsār
maiñ kaalī raat kā diyā tū mere husn sā nahīñ
vo hañstā bastā shaḳhs thā diloñ pe sab ke naqsh thā
phir ek din kahīñ gayā kahāñ gayā patā nahīñ
ye kyā hasīn baaġh hai yahāñ haiñ kitnī titliyāñ
vo ek kyoñ nahīñ yahāñ nahīñ yahāñ maza nahīñ
tamām raat jaag kar kaTī hai us ke vāste
mirī sahar nahīñ huī vo mehr to dikhā nahīñ
ye kyā ajiib ishq hai jo phone par hī ho gayā
qarābatoñ kā shauq hī diloñ meñ ab rahā nahīñ
ye bazm-e-shab sajā rahe haiñ rañg rañg qumqume
magar ye kaisī bazm hai ki ik bhī dil jalā nahīñ
sunā hai mere baare meñ chhapī haiñ aaj surḳhiyāñ
ye rā.egāñ chhapī haiñ un laboñ ne gar paḌhā nahīñ
pasand na-pasand ka koi bhi zabta nahin
kabhi bhala bhi hai bura kabhi bura bura nahin
to jaise dhup mein chamakta barf-posh kohsar
main kali raat ka diya tu mere husn sa nahin
wo hansta basta shaKHs tha dilon pe sab ke naqsh tha
phir ek din kahin gaya kahan gaya pata nahin
ye kya hasin bagh hai yahan hain kitni titliyan
wo ek kyon nahin yahan nahin yahan maza nahin
tamam raat jag kar kaTi hai us ke waste
meri sahar nahin hui wo mehr to dikha nahin
ye kya ajib ishq hai jo phone par hi ho gaya
qarabaton ka shauq hi dilon mein ab raha nahin
ye bazm-e-shab saja rahe hain rang rang qumqume
magar ye kaisi bazm hai ki ek bhi dil jala nahin
suna hai mere bare mein chhapi hain aaj surKHiyan
ye raegan chhapi hain un labon ne gar paDha nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.