pasheman hain tark-e-mohabbat ke baad
pashemāñ haiñ tark-e-mohabbat ke ba.ad
baḌhīñ uljhaneñ aur fursat ke ba.ad
abhī to qayāmat kā hai aasrā
ḳhudā jaane kyā ho qayāmat ke ba.ad
ye husn-e-ḳhulūs-e-shikāyat bajā
magar kyā rahegā shikāyat ke ba.ad
vo har baar milte haiñ is shaan se
mile jis tarah koī muddat ke ba.ad
mohabbat se pahle ye aalam na thā
kahāñ aa ga.e ham mohabbat ke ba.ad
'ravish' ye ḳhush-āhañg rañg-e-ġhazal
dil-āvez hai rañg-e-hasrat ke ba.ad
pasheman hain tark-e-mohabbat ke baad
baDhin uljhanen aur fursat ke baad
abhi to qayamat ka hai aasra
KHuda jaane kya ho qayamat ke baad
ye husn-e-KHulus-e-shikayat baja
magar kya rahega shikayat ke baad
wo har bar milte hain is shan se
mile jis tarah koi muddat ke baad
mohabbat se pahle ye aalam na tha
kahan aa gae hum mohabbat ke baad
'rawish' ye KHush-ahang rang-e-ghazal
dil-awez hai rang-e-hasrat ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.