pasina mathe se bah raha hai na koi silwaT libas par hai
pasīna māthe se bah rahā hai na koī silvaT libās par hai
ajab thakan hai jo kaam karne se qabl taarī havās par hai
safed rut meñ gulāb hāthoñ se saat rañgoñ ke ḳhvāb chuntī
kapās chunñe ko aa.ī laḌkī kā dhyān thoḌī kapās par hai
samundaroñ ke musāfiro kuchh izāfī paanī bhī saath rakhnā
ki ik jazīra baḌī hī muddat se chand qatroñ kī aas par hai
mirī mohabbat ubalte alfāz kī na muhtāj hai na hogī
ye ThanDā paanī gilās meñ hai magar pasīna gilās par hai
badan kā har ek uzv dil kā kiyā-karāyā bhugat rahā hai
is ik student kī ḳhatā kā itaab saarī class par hai
pasina mathe se bah raha hai na koi silwaT libas par hai
ajab thakan hai jo kaam karne se qabl tari hawas par hai
safed rut mein gulab hathon se sat rangon ke KHwab chunti
kapas chunne ko aai laDki ka dhyan thoDi kapas par hai
samundaron ke musafiro kuchh izafi pani bhi sath rakhna
ki ek jazira baDi hi muddat se chand qatron ki aas par hai
meri mohabbat ubalte alfaz ki na muhtaj hai na hogi
ye ThanDa pani gilas mein hai magar pasina gilas par hai
badan ka har ek uzw dil ka kiya-karaya bhugat raha hai
is ek student ki KHata ka itab sari class par hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.