pasti se bulandi par khincha hai sitaron ne
pastī se bulandī par khīñchā hai sitāroñ ne
sadiyoñ ke tajassus ne qarnoñ ke ishāroñ ne
ġharqābī-e-ādam kī tārīḳh murattab kī
vīrān jazīroñ ne sunsān kināroñ ne
tārīḳh ke chehre par jo zaḳhm nazar aa.e
kuchh aur kiyā gahrā in vaqt ke dhāroñ ne
har daur meñ kiiñ paidā āzādī kī tamsīleñ
zanjīr ke halqoñ ne zindāñ kī darāroñ ne
kiiñ azm-e-tavānā kī dil khol ke tārīfeñ
patthar kī fasīloñ ne faulād ke aaroñ ne
shab-ḳhūn-o-siyah-kārī bad-chalanī-o-ayyārī
sūraj ne nahīñ dekhī dekhī hai sitāroñ ne
ik kaif sā taarī hai khultī hī nahīñ āñkheñ
kuchh aisī pilā dī hai nau-ḳhez bahāroñ ne
kyā mil ke piyeñ aur kyā sar joḌ ke ham baiTheñ
naqsha hī badal Daalā saaqī ke ishāroñ ne
un zaḳhmoñ se ristā hai ai 'mehr' lahū ab tak
khaa.e the kabhī patthar jo baḳht ke māroñ ne
pasti se bulandi par khincha hai sitaron ne
sadiyon ke tajassus ne qarnon ke ishaaron ne
gharqabi-e-adam ki tariKH murattab ki
viran jaziron ne sunsan kinaron ne
tariKH ke chehre par jo zaKHm nazar aae
kuchh aur kiya gahra in waqt ke dhaaron ne
har daur mein kin paida aazadi ki tamsilen
zanjir ke halqon ne zindan ki dararon ne
kin azm-e-tawana ki dil khol ke tarifen
patthar ki fasilon ne faulad ke aaron ne
shab-KHun-o-siyah-kari bad-chalani-o-ayyari
suraj ne nahin dekhi dekhi hai sitaron ne
ek kaif sa tari hai khulti hi nahin aankhen
kuchh aisi pila di hai nau-KHez bahaaron ne
kya mil ke piyen aur kya sar joD ke hum baiThen
naqsha hi badal Dala saqi ke ishaaron ne
un zaKHmon se rista hai ai 'mehr' lahu ab tak
khae the kabhi patthar jo baKHt ke maron ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.